laakh manaaun phir bhi na maane re man mora bhaaga jaaye Bhajan Lyrics
Lyrics (Language: Hindi – Hindi / Devanagari)
दोहा – मन लोभी मन लालची,
मन चंचल मन चोर,
मन के मते न चालिए,
मन पल पल में कहीं और।
मन के मारे वन गये,
वन तजि बस्ती माहि,
कहे कबीर क्या कीजिये,
यह मन ठहरे नाहि।
लाख मनाऊं फिर भी ना माने रे,
मन मोरा भागा जाए जाए रे।।
दंभ द्वेष का चोला पहना,
चंचलता है इसका गहना,
कैसे प्रभु का ध्यान लगाऊं रे,
कैसे प्रभु का ध्यान लगाऊं,
मन मोरा भागा जाए रे।
लिप्त तृप्त है भोग व्यसन में,
मस्त मगन है अपनी
किस विधि योग का पाठ पढ़ाऊं रे,
किस विधि योग का पाठ पढ़ाऊं,
मन मोरा भागा जाए रे।।
पुलकित है जब सुख पाता है,
सहत दुसह दुःख घबराता है,
किस सम भाव का गीत सुनाऊं रे,
किस सम भाव का गीत सुनाऊं,
मन मोरा भागा जाए रे।
लाख मनाऊ फिर भी ना माने रे,
मन मोरा भागा जाए जाए रे।।
Lyrics (Language: Hinglish – Transliteration)
doha – man lobhi man laalchi,
man chanchal man chor,
man ke mate na chaaliye,
man pal pal mein kahin aur.
man ke maare van gaye,
van taj basti maahi,
kahe Kabir kya ki jiye,
yeh man thehre naa hi.
laakh manaaun phir bhi naa maane re,
man mora bhaaga jaaye jaaye re।।
damb dwesh ka chola pehna,
chanchalta hai iska gehna,
kaise Prabhu ka dhyaan lagaun re,
kaise Prabhu ka dhyaan lagaun,
man mora bhaaga jaaye re।
lipt tript hai bhog vyasan mein,
mast magan hai apni dhun mein,
kis vidhi yog ka paath padhaun re,
kis vidhi yog ka paath padhaun,
man mora bhaaga jaaye re।
pulkit hai jab sukh paata hai,
sahat dusah dukh ghabraata hai,
kis sam bhaav ka geet sunaun re,
kis sam bhaav ka geet sunaun,
man mora bhaaga jaaye re।
laakh manaaun phir bhi naa maane re,
man mora bhaaga jaaye jaaye re।।