maya mein man apna jo faanse se rahte hai Bhajan Lyrics
Lyrics (Language: Hindi – Hindi / Devanagari)
जो फांसे से रहते है।
दोहा – माया चार प्रकार की,
एक बिलसे एक खाए,
एक मिलावे हरि को,
एक नरक ले जाए।
माया में मन अपना,
जो फांसे से रहते है,
रहकर भी समंदर में,
वो प्यासे रहते है।।
माया तो दासी है,
संतों का कहना है,
पर आज के इंसा का,
माया ही गहना है,
दलदल में जीवन को,
जो धांसे रहते है,
रहकर भी समंदर में,
वो प्यासे रहते है।
हीरा भी पत्थर है,
गर चमक नहीं उसमें,
इंसान पशु समझो,
ना समझ रही जिसमें,
पल या दो पल बनके,
वो तमाशे रहते है,
रहकर भी समंदर में,
वो प्यासे रहते है।
नफरत निंदा चुगली,
भक्तों जो करते है,
यह समझ लो वो बंदे,
जीते ना मरते है,
उनके हरदम खाली,
फिर कांसे रहते है,
रहकर भी समंदर में,
वो प्यासे रहते है।
माया मे मन अपना,
जो फांसे से रहते है,
रहकर भी समंदर में,
वो प्यासे रहते है।।
Lyrics (Language: Hinglish – Transliteration)
jo faanse se rahte hai.
doha – maya chaar prakaar ki,
ek bilse ek khaaye,
ek milaave Hari ko,
ek narak le jaaye.
maya mein man apna,
jo faanse se rahte hai,
rahkar bhi samandar mein,
wo pyaase rahte hai.!!
maya to daasi hai,
santon ka kehna hai,
par aaj ke insaa ka,
maya hi gehna hai,
daldal mein jeevan ko,
jo dhaanse rahte hai,
rahkar bhi samandar mein,
wo pyaase rahte hai.
heera bhi patthar hai,
gar chamak nahi usmein,
insaan pashu samjho,
na samajh rahi jismein,
pal ya do pal ban ke,
wo tamashe rahte hai,
rahkar bhi samandar mein,
wo pyaase rahte hai.
nafrat ninda chugli,
bhakton jo karte hai,
yeh samajh lo wo bande,
jeete na marte hai,
unkar hardam khaali,
fir kaanse rahte hai,
rahkar bhi samandar mein,
wo pyaase rahte hai.
maya mein man apna,
jo faanse se rahte hai,
rahkar bhi samandar mein,
wo pyaase rahte hai.!!